Showing posts with label Gazals. Show all posts
Showing posts with label Gazals. Show all posts

Labon Pe Apne Saja Saja Ke -Romantic Love Ghazal


Romantic Love Hindi Urdu Ghazal Poetry

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat, Labon Pe Apne Saja Saja Ke

~*~

दबी दबी सी वो मुस्कुराहट, लबों पे अपने सजा सजा के



Dabi Dabi Si Woh Muskurahat -Romantic Love Ghazal Design Poetry



Dabi Dabi Si Woh Muskurahat
Labon Pe Apne Saja Saja Ke

Woh Narm Lahje Mein Baat Karna
Ada Se Nazrein Jhuka Jhuka Ke

In Madmast Nigaahon Ko Husn Ka Jaam Kah Doon -Romantic Poetry


Romantic Love Ghazal Design Poetry in Hindi Urdu

In Madmast Nigaahon Ko Husn Ka Jaam Kah Doon

~*~

इन मदमस्त निगाहों को हुस्न का जाम कह दूँ



In Madmast Nigaahon Ko - Romantic Love Gazal Design Poetry



In Madmast Nigaahon Ko
Husn Ka Jaam Kah Doon
Tarasha Hua Badan Hai Tera
Sar-E-Aam Kah Doon

Tu Pyaar Se Aati Hai Mere Khwaab Mein Sanam - Love Design Poetry


Romantic Love Design Ghazal Poetry in Hindi Urdu

Tu Pyaar Se Aati Hai Mere Khwaab Mein Sanam

~*~

तू प्यार से आती है मेरे ख्व़ाब में सनम



Tu Pyaar Se Aati Hai -Hindi-Urdu-Love-Ghazal



Tera Rukh -E- Mahtaab
Tere Haath Choom Loon
Jo Bas Chale To Teri
Har Baat Choom Loon

Bhige Gulaab Jaisi Khubsurat Ho Tum - Design Romantic Poetry


Design Romantic Love Poetry

Bhige Gulaab Jaisi Khubsurat Ho Tum

~*~

भीगे गुलाब जैसी खूबसूरत हो तुम



Bhige Gulaab Jaisi Khubsurat Ho Tum ~ Design Romantic Poetry



Bhige Gulaab Jaisi Khubsurat Ho Tum
Meri Ho Jaana Meri Mohabbat Ho Tum
Fursat Se Tarashi Gayi Murat Ho Tum
Meri Ho Jaana Meri Ho Tum

Barish Ki Barasti Boondon Ne - Design Love Poetry


Design Love Poetry

Barish Ki Barasti Boondon Ne

~*~

बारिश की बरसती बूँदों ने



Barish Ki Barasti Boondon Ne ~ Design Love Poetry



Barish Ki Barasti Boondon Ne
Jab Dastak Di Darwaje Par
Mahsoos Huya Tum Aayi Ho
Andaaz Tumhare Jaisa Tha

Hawa Ke Halke Jhonke Ki
Jab Aahat Payi Khirki Par
Mahsoos Huya Tum Guzri Ho
Ahsaas Tumhare Jaisa Tha

Rakhna Yaqeen Wafa Par - Design Love Poetry


Design Love Poetry

Rakhna Yaqeen Wafa Par

~*~

रखना यक़ीन वफ़ा पर



Rakhna Yaqeen Wafa Par ~ Design Love Poetry



Rakhna Yaqeen Wafa Par
Dil Mein Na Baal Rakhna
In Dard Ke Lamhon Ko
Tum Bhi Sambhaal Rakhna

Phoolon Se Achchhi Teri Khushboo - Design Love Poetry


Love Romantic Hindi Urdu Ghazal Poetry

Phoolon Se Achchhi Teri Khushboo

~*~

फूलों से अच्छी तेरी खुशबू



Phoolon Se Achchhi Teri Khushboo ~ Design Love Poetry



Phoolon Se Achchhi Teri Khushboo
Kaliyon Se Pyaari Teri Muskaan

Sitaron Sa Chamakta Huya Chehra
Koyal Si Meethi Zubaan

Chaand Bhi Chhup Jaye Ye Kah K
Aasmaan Pe Ab Kya Mera Kaam

Main Jis Pal Bhula Doon Tera Pyaar Dil Se - Love Song


Romantic Love Song with Design

Main Jis Pal Bhula Doon Tera Pyaar Dil Se

~*~

मैं जिस पल भुला दूँ तेरा प्यार दिल से



Main Jis Pal Bhula Doon Tera Pyaar Dil Se - Love Poetry



Main Jis Pal Bhula Doon Tera Pyaar Dil Se
Woh Pal Aakhri Ho Meri Zindagi Ka
Yeh Aankhein Usi Lamha Ho Jayein Andhi
Jo Tere Siwa Dekhein Sapna Kisi Ka

E-Kaash Ki Aisa Ho Jaye-Main Sochu Tujhe Aur Tu Aa Jaye


Miss You Design Poetry in Love

E-Kaash Ki Aisa Ho Jaye

~*~

ए-काश की ऐसा हो जाये



E-Kaash Ki Aisa Ho Jaye ~Miss You in Love Poetry



E-Kaash Ki Aisa Ho Jaye
Main Sochu Tujhe Aur Tu Aa Jaye
Ye Soch Ke Hi Main Mastana Hoon
Main Maangu Tujhe Aur Tu Mil Jaye

Mohabbat Phool Hai Janu-Kaho To Phool Ban Jaoon


Love Romantic Design Poetry

Mohabbat Phool Hai Janu

~*~

मोहब्बत फूल है जानू



Mohabbat Phool Hai Janu ~ Romantic Love Poetry



Mohabbat Phool Hai Janu
Kaho To Phool Ban Jaoon

Tumahri Zindagi Ka Ek
Haseen Asool Ban Jaoon

Oonche Parvat Neele Sagar Pagal Barish-Tum Aur Main


Love Design Poetry

Tum Aur Main

~*~

तुम और मैं



Tum Aur Main ~ Love Poetry



Oonche Parvat, Neele Sagar,
Pagal Barish, Tum Aur Main

Mehndi, Khushboo, Kajal, Aanchal,
Band Hatheli, Tum Aur Main

Door Kahin Barish Mein Bheegi
Peeli Sarson, Tum Aur Main

Jab Jab Tere Lab Mere Hothon Pe Aayenge


Love Romantic Design Poetry

Jab Jab Tere Lab Mere Hothon Pe Aayenge

~*~

जब-जब तेरे लब मेरे होंठों पे आयेंगे



Jab Jab Tere Lab Mere Hothon Pe Aayenge ~ Poetry



Jab Jab Tere Lab Mere Hothon Pe Aayenge
Sath Yeh Chaand - Sitaare Bhi Jhoom Jayenge

Goonj Uthega Aasmaan Pyaar Ke Nagmon Se
Baadal Bhi Mohabbat Ki Barish Barsayenge

Mere Dil Ki Baaton Ko Padhti Ho Tum


Love Design Poetry

Mere Dil Ki Baaton Ko Padhti Ho Tum

~*~

मेरे दिल की बातों को पढ़ती हो तुम



Mere Dil Ki Baaton Ko Padhti Ho Tum ~ Design Poetry



Mere Dil Ki Baaton Ko Padhti Ho Tum
Sapno Me Aake Mujhse Milti Ho Tum

Humne Duniya Sajai Hai Hamare Liye
Aankhon Me Basi Ho Sirf Tum Hi Tum

Chehre Ki Haseen Muskurahat Choom Lene Do


Love Romantic Design Poetry

Chehre Ki Haseen Muskurahat Choom Lene Do

~*~

चेहरे की हसीन मुस्कुराहट चूम लेने दो



Chehre Ki Haseen Muskurahat Choom Lene Do ~ Love Poetry



Chehre Ki Haseen Muskurahat Choom Lene Do
Labon Ko Labon Ki Narmahat Choom Lene Do

Tum De Do Izazat Mere Dil Ko Ek Gustakhi Ki
In Surkh Gaalon Ki Sharmahat Choom Lene Do

Dil Ko Aaram Se Rakhna - दिल को आराम से रखना


Love Design Poetry

Dil Ko Aaram Se Rakhna

~*~

दिल को आराम से रखना



Dil Ko Aaram Se Rakhna ~ Love Poetry



Dil Ko
Aaram Se
Rakhna

Kabhi
Bechain Na
Rahna

Tum Hi Tum Nazar Aati Ho - तुम ही तुम नजर आती हो


Love Design Poetry

Tum Hi Tum Nazar Aati Ho

~*~

तुम ही तुम नजर आती हो




Tum Hi Tum Nazar Aati Ho ~ Love Poetry



Tum Hi Tum
Nazar Aati Ho
Poori Qaynaat Mein

E-Dil
Tu Ne Mujh Ko
Deewana Bana Diya

Mujhe Tumse Mohabbat Hai - मुझे तुमसे मोहब्बत है


Romantic Love Design Poetry

Mujhe Tumse Mohabbat Hai

~*~

मुझे तुमसे मोहब्बत है



Mujhe Tumse Mohabbat Hai ~ Love Poetry



Mujhe Tumse Mohabbat Hai

Kisi Nazuk Se Lamhe Mein
Kisi Din Shaam Se Pahley
Agar Chupke Se Tere Kaan Mein
Aa Kar Yeh Kah Doon K
" Mujhe Tumse Mohabbat Hai "


Apna Dil Pesh Karoon Apni Wafa Pesh Karoon


Love Design Poetry

Apna Dil Pesh Karoon

~*~

अपना दिल पेश करूँ



Apna Dil Pesh Karoon Apni Wafa Pesh Karoon ~ Love Poetry



Apna Dil Pesh Karoon
Apni Wafa Pesh Karoon
Kuchh Samajh Me Nahi Aata
Tujhe Kya Pesh Karoon

Tere Milne Ki Khushi Me
Koi Nagma Chheroon
Ya Tere Dard Ki Judayi Ka
Gila Pesh Karoon